Ranvijay: Naam kya hai tumhara?
XYZ: xyz.
Ranvijay: Matlab.
XYZ: Sir, main variable hun.
Rajiv: Matlab kya hai tumhara. Ye tumhara real name hai?
XYZ: Nahi sir. Pahle mera naam kuchh aur tha. Fir maine maths mein padha ki xyz ko jis bhi equation mein daal do unki value equation ke hisab se badal jaati hai. Mujhe laga main bhi waisa hi hun. Situation ke hisab se badal jata hun. Isliye maine apna naam change kar diya xyz.
Raghu: Tu Roadie kyon banna chahta hai?
XYZ: Kyonki main ban sakta hun.
Rajiv: Tujhe aisa kyon lagta hai ki tu Roadie ban sakta hun?
XYZ: Kyonki main variable hun. Main kuchh bhi ban sakta hun. Roadie bhi.
Raghu: Tujhe pata hai Roadies mein kaisi situations hoti hain?
XYZ: Sir, variable ko kabhi faraq nahi padta use kisi bhi equation mein daal do.
Ranvijay: Ok. Prove us, you are what you say you are. A variable.
XYZ: Aapko kya lagta hai, main abhi tak kya kar raha tha?
No comments:
Post a Comment